Aik Aqalmand Dihati – Success Story Hindi (Roman Urdu)
Aik Sabaq Amoz Success Story Hindi (Roman Urdu), Apni Gaaon ki zameen puray Sarhay 5 lakh mein bech kar jab woh aaj subha ki train se Karachi Cant Station par utra,
Tau laugon ka hujoom or chehal pehal daikh kar usay Karachi kay baray mein sunee huwee saree kahaniyan sach lagnay lageen,

Aik Aqalmand Dihati – Success Story Hindi (Roman Urdu)
Gojar Khan Punjab se taluq rakhnay wala Tariq janjua saaton behen bhaiyoun mein sab se chota thaa,
Lekin uska bap janta thaa kay tariq dusray behen bhaiyoun ki tarah khaiton par mazdoori kay liye nahee bana,
Iss liye, us kay bap nay apna dil sakht karte huwe apnay is 24 saala betay ko apni tamam jama punjee dai kar Karachi kee be rehem karobari maujon kay darmiyan apni or apnay ghar walun ki qismat kaa mallah bana kar rawana kar dia,
Tariq kaa baap Khuda Buksh janjua bachpan se kheton mein mazdori karta raha hai,
Zindagi kay 52 saal usnay zameendaron ki khidmat me guzar kar jo jama punjee jama kee thee woh tariq kay hawalay is umeed par bhee kar dee thee kay shayad uski anay wali nasloon ko woh ghulami kee manjhdar se nikal sakay,

Aik Aqalmand Dihati – Success Story Hindi (Roman Urdu) (3)
Tariq kay uper bharosa karne ki bohat see wajoohaat theen Khuda Buksh kay pas,
Uski imandari or aqal ki misalain puray gaon mein heer ranjha se ziada mashoor theen,
2 dafa woh apni aqal mandi se gaon ko qehat Sali se bacha chukaa thaa or yahee waja thee kay woh zameendaron kee ankhon me khataknay laga thaa,
Yahee kahtraa daikh kar Khuda buksh ka or tariq ki amma kaaa ye faisla aam fehem thaa kay tariq ko kisi bhi bahanay se gaon se paray bhej dia jaye,
Yahan Karachi mein tariq kay chacha nay uska apnay sath walay quarter mein rehne ka bandobas kar rakha thaa,
Ismail Janjua , Tariq ka chacha, Karachi mein kamyabi se apnay 2 general store or aik ban kabab ki dukan chala raha thaa,
Iss liye pardais me Tariq kay pas apnay chacha kay pas kam seekhnay kay ilawa koi or raastaa nahee tha,
Woh apnay chacha kay pas Karachi kay ilaqe Manzoor colony walay general store par bethne lagaa,

Aik Aqalmand Dihati – Success Story Hindi (Roman Urdu) (4)
Woh kaam mein gair mamooli sanjeedgi lainay laga,
13 se 14 ghantay kharay rehne kay baad bhee gahakon se bohat ziada khush asloobi se pesh ata,
Chacha ab usay uski choti choti galtioun par gahakun kay samnay hee zaleel karnay laga thaa,
Tariq apnay chacha ki ziyatiyan muskara kar seh laita kuon kay usay iss baat ka bakhoobi ilm thaa kay jo kuch hai yahan uska chacha hee hai,
Phir tariq kay waldain ne uski tarbiyat hee kuch aisee kee thee kay us ka kirdar gaon ho ya sheher qabil e tareef thaa.
3 haftay bad chacha ismail nay Tariq ko dukan se iss liye nikal dia, jab chacha ki ghair maujoodgi mein usnay chacha ka hisab kitab kay parchay ulat palat kar daikhna shuru kiye.
“Woh chacha, Aamir bhai apni payment lenay aye thay……” Tariq nay dartay huwe kaha.
“Tau tu ab itna wadda hogaya hai kay mujh se puchay baghair hisab kitaab karege?” Chacha ismail ne Tariq ki garden ko zaur se dabochtay huwe pucha.
“Woh Aamir bhai rauz apnay maal ki payment mangnay atay thay, or ap dukan par nahee thay, iss liye….”
Tariq ki bat kaat kar Chacha nay us ki garden ko puri taqat se maroor dia. “Aaah.. m…mu…muaf kar dain chacha jee”,
Tariq ki ankhon mein anso bhar aye thay.
“Garak hoja, Chehra na dikhayin fir” Chacha ka chehra gussay se laal thaa.
Chacha Ismail, Tariq ki imandari or chalaki se jalne laga tha kuon kay uskay apnay betay sharab or juwey ki buri lat mein par gaye thay or woh Tariq ki qabliyat ko daikh kar us se hasad karne laga tha.
Tariq wahan se quarter jaa kar bohat roya or faisla kia kay woh apna kam khud shuru karega,
Tariq nay aik maah mein Karachi ka chappa chappa chaan mera, Kabhi Muhajir camp tau kabhi Ranchorline, Kabhi Kharadar tau Kabhi nazimabad,
Gharz ye kay is aik mahinay mein woh 3 dafa apni purani jootiyan silwa chukka tha, Jutiyan tau bas nam thee, sirf 2 chamray kay kapray reh gaye thay us kay pairon mein,
Chacha ne us se rishta bilkul khatam kar dia tha or sath walay quarter se bhee nikal dia.
Munasib jan pehchan na honay ki waja se tariq ko koi quarter nahi mil paraha tha, jis waja se woh is ajnabi sheher mein musalsal foothpath par so raha tha.
Kabhi janwar tang karte tau kabhi muhallay kay larke usay Pagal Pagal keh kar pathar martay,
Tariq kamzor or nidhal parne laga tha,
Aik rat jab taiz barish nay uski rahee sahee qasar bhee nikal dee or woh thand kay maray puri rat behoshi k alam mein sarak par sarta raha.

Aik Aqalmand Dihati – Success Story Hindi (Roman Urdu) (5)
Muhally walaun mein se ksi naik bakht chacha nay subha fajar kay waqt ambulance bulwa kar Tariq ko civil pohanchaya,
Doctor se lai kar nurses tak uski gandi halat daikh kar us se ginh kha rahay thay,
Apnay aaap ko usnay itna be bas or laachaar kabhee nahi paya thaa,
Lekin baaap ki ankhun ki chamak uskay hoslay tootnay nahi dai rahee thee,
Usay apnay baap or bhai behnon ko ghulami se azad karwana thaa, Uskay anso ro ro kar khush ho chukky thay.
Halat behter honay par usnay khud hee hospital se rukhsat lee or seedha us naik insane ka shukria ada karne un kay ghar bohat saray fruits lay kar ja pohancha,
Us naik bakht insan ka nam Jameel Kazmi thaa woh 55 saala shaks Tariq ki dilchasp batun or malomat bhari guftugu se bohat mutasir huwa,
Tariq se guftugu kay doran usnay bataya kay woh is sheher mein akela hai, Ghar walay saray dubai shift ho chukay hain or woh bhee Karachi mein kuch karobari mamlat nimta kar hamesha kay liye dubai chala jayega,
“Kazmi saab jab kabhi aap Karachi ayenge tau mien ap jitney baray ghar mein, apki dawat karunga”, Tahir nay ba aitmaad lehjay mein sargoshi kee.
Jameel saab ye soch kar muskra diye kay jawani kay josh mein unhon ne aksar nojawanon ko ye bat karte suna thaa.
Khair Kazmi sahib ne usay apnay aik jannay walay kay zariya Tariq kay rehne koo aik umda quarter karwa dia,
Or tariq ne phir se karobar shuru karne par apni sari tawaja markooz kar dee.
3 mah ki sakht mehnat or jiddo jehed kay baad Tariq Clifton mein kiraye kee aik bilkul choti see dukan dhoondnay mein kamyab hogaya,
Fajar ki namaz kay bad aj woh kafi dair tak duain mangta raha kuon kay usay us kiraye kee dukan ka deposit dainay janay thaa,
Woh quarter se aik naye josh or walwalay kay sath apni manzil ki taraf rawana hogaya,
Woh diye gaye waqt se 10 minutes pehle hee manzil par pohanch chukka thaa jis se uski lagan or kam kay shauq ka ba khoobi andza hota thaa,
Dukan kay malik kay pohanchte hee usnay baree khanda paishani or ikhlaq se mulaqaat karne kay bad jab jaib mein Deposit kay 4 lakh nikalna chahe tau us kay pairon talay zameen nikal gayi,
Us kay ksi bhee jaib mein woh raqam maujood naa thee,
woh dewana war apnay jaibon mein talash karta raha kay shayad qudrat meherban hojay,
Lekin qudrat ko tau kuch or hee manzoor thaa, Woh Kabhi laugon se us bus ka pata puchta tau kabhi thanay jata,
Pura din is bhaag dour mein nikal gaya lekin un peson par tau bus mein hee koi barai safayi se hath saaf kar chukka tha.
Tariq ki dunya weeran honay lagay thee, usay apnay bap kay khuwab ka soraj doobta huwa nazar araha thaa,
Kuon ab sirf us kay paas ghar par 50 hazar maujood thay or itne paison mein Karachi mein Dukan laina na mumkinat mein se aik thaa,
Dukan kay malik nay usay hosla dia or 50 hazar mein Tariq Road par apni dukan kay aagha thela laga kar dia,
Us thelay mein Tariq ko Bachun kee cheez, cigarettes or Mobile Balance kee setting karwa dee,
Dukan ka Malik Saleem Memon aik shafeeq insaan thaa,

Aik Aqalmand Dihati – Success Story Hindi (Roman Urdu) (6)
Tariq Dusray Thelon kee tarah subha 10 bajay apna thela kholne kee bajaye Fajar kee namaz parh kar apnaa thela khol laita,
Saleem Sab usay aksar samjhatay kay Tariq road kay ilaqe mein Subha iss waqt gahak nahi ayenge,
Lekin Tariq aik hee baat kehta kay Rizq Fajar kay baad bat taa hai,
Subha Fajar kay baad se dopeher aik bajay tak tariq kaa ba mushkil 200 rupay kaa dhandaa hotaa,
Lekin woh puree baqaidgi se issi waqt apna thela kholta,
Tariq road kay saray thelay raat 11 baje tak band hojatay lekin Tariq apnaa thela 2 baje band karta thaa,
Kam neend or anthak mehnat kee waja se Tariq din ba din kamzoor or beemar hotaa jaa raha thaa,
4 maah guzar gaye or phir ahista ahista Tariq ka thela apnay anokhay time kee waja se mashoor hoo raha thaa,
Kay agar subha jaldi ya raat ko ksi cheez ki zarorat ho tau woh tariq bhai kay thelay se milegee,
Ab subha fajar se 1 baje tak kay waqt mein 200 kee bajaye 8 se 10 hazar kee sale honay lagee, or raat mein 2 baje tak customers atay rehtay,
Tariq kay thelay kee rauz kee sale ab 30 se 40 hazar tak janay lagee, iss liye Saleem saab nay aik chota helper bhee usay dai dia,
Saleem saab nay Tariq kee qabliyat or maharat ko pehchan lia thaa,
Woh aik naik shaks thay iss liye unhon nay tariq se kabhi kisi munafay yaa peson ka taqaza naa kia,
Tariq apnay customers mein iss baat kay liye bhee mashoor thaa kay agar koi bhee cheez uskay thelay par maujood naa ho tau woh agay din puray Karachi mein se kaheen se bhee dhoond kar laa daitaa thaa,
Ab Tariq ko woh thela chota parne laga, or Saleem saab se mashwaray kay bad tariq ko unhon nay apna partner bana kar aik baree or aaleeshaan dukan dila dee,
Saree sarmaya karee Saleem saab nay kee or sirf 20% apna munafa rakha or baqi 80% Tariq ko daine kaa faisla kia,
Tariq iss baat bat par naraz thaa kay Saleem Saab us kay mohisn hain lihaza 50% Saleem saab ko laina chahye,
Lekin Saleem saab kay bhee apnay usool thay, woh hamesha yahee kehte kay jo mene aaj tumharay liye kia hai,
Woh mere mar janay kay baad tumhain dusrun kay liye karna hai,
Tariq nay woh dukan 24 ghantay khula rakhnay kaa faisla kia,
Puray Karachi mein woh us waqt kee pehlee dukan thee jo 24 ghantay khulee rehtee thee,
Tariq us dukan mein bhee 16 ghantay khud duty daita or sirf 4,5 ghantay use dukan mein neend karta,
Jald hee usnay aik motor cycle khareed kar apnay baray baray customers ko un kay ghar par soda pohanchana shuru kar dia,
Jis se Uski Sales mein be panah izafa hogaya or ab woh aik din mein kam az kam 1 laakh kee sales karne laga,
Tariq nay Saleem saab se mashwara kay baad mazeed workers rakhna shuru kar diye takay customers ko delivery time par dee jaye,
Dukan waqt kay sath barhee hotee gayi or barthtay barhtay aik Super store mein badal gayi,
Karachi kee tareekh mein khulnay wala pehle Super store, Jiss par Print or Digital Media nay bharpoor coverage dee,

Aik Aqalmand Dihati – Success Story Hindi (Roman Urdu) (7)
Tariq kay maan baap or bhai behen sab Karachi aa chukay thay or aik taweel Ghulami kay baad azadi kaa suraj daikh kar un sab kee ankhain Allah kay huzoor sajda a shukar se jhuki huwi theen,
Tariq Ab Seth Tariq Chaudary kay naam se mashoor thay, unhon nay apna karobar apnay bhaiyoun kay superd kar dia thaa,
Saleem saab kay intiqal kay baa ab Seth Tariq puray Pakistan mein ghoomtay or ghareebon ko muft mein thelay lagwa kar daite,
Lekin Shayad hee ab un theelon se Koi Seth Tariq Chaudary ban sakay.
Teen larkioyun nay Kis Tarah Apna Business Shuru kia, Business Story Parhany kay liye Click here.
——————————– THE END ——————————-
This Short Success Story Hindi is a brand new collection in Success Story in Hindi Collection. This Urdu / Hindi story is full of learning.
This story us based on Real success story in Hindi but we have changed some detail due to some privacy concerns.
This Urdu / Hindi Success story is about the Man Success and his countless effort and struggle.
This Short Urdu / Hindi Story tells us the Entrepreneurship in Roman Urdu font. One can learn Business Ideas and tactics by reading this Short Moral Story in Hindi / Urdu.
We would compile our collection ” Success Story in hindi / urdu pdf ” very soon. For more success businessman story in hindi, keep visiting our blog Urdu story.
Amazing Success stories of students in urdu are also in process, so be ready for more Business Stories coming from our desk.
How was our this Success Story Hindi ? tell us in the comment box below.