Children Club – Urdu Kahani for Child / Children (Story)
Introduction of the Urdu Story / Urdu Kahani / Hindi Story
Bachun kee Kahaniyoun se bhee hamesha bohat se Moral or Lesson milte hain. Iss Urdu Kahani for Child mein bhee aik ahem sabaq posheeda hai. Janne Kay liye parhain Hamari Ye Urdu story or issi tarah ko or bhee Urdu font Stories 2017 kay liye hamare blog UrduStory.pk ka regularly visit kia karen.
Children Club – Urdu Kahani for Child / Children (Story)
Aaj samir jab apnay doston kay sath bahir khelne gaya tau, Haya nay usay bataya kay Woh Children club bana rahee hain,
Kia Woh un kay sath shamil hona chahega?,
Samir nay pucha “Club mein kia hoga or us ka kia faida hai?”,
Haya nay bataya Club kee leader mein hongee, Mein jo jo games bataongee us din ham Woh game khelenge,
Saray bachun ko theek 5 baje ground mein ajana hoga or ham 6 baje tak sath khelenge, Samir Haya kay iss idea se bohat khush huwa,
Or usnay foran Club member banne par raza mandi zahir kar dee,
Aglay din saray bachay time par pohanch gaye, Samir kay ilawa, Shayan, Sufyan, Ahmed or Yousra bhee agaye thay,
Haya nay bataya “Aaj sab football khelenge”,
Saray bachay khushi khushi football khelne lagay,

Children Club – Urdu Kahani for Child Children (Story) 2
Football khelte khelte Shayan ka mamoli sa Dhaka lagnay par Haya gir gayi, usnay zaur zaur se rauna shuru kar dia,
Iss se pehle kay baqi dost kuch kehte,
Haya nay Shayan ko usi waqt club se nikal dia or kaha kay “Club kay rules kay mutabiq koi bhee ksi ko Dhaka daiga tau Woh club se out”,
“Aisa koi rule tau tumnay nahi bataya tha, or mene jaan bojh kar tau dhakka nahi dia thaa” Shayan nay udas hotay huwe kaha,
“Han nahi bataya thaa lekin ye mera Children club hai tau rules mein hee banaongi or jab dil chahega bataongi”, Haya nay buland awaz mein kaha.
Aglay din saray bachay 5 baje ground mein pohanch gaye lekin Yousra 5 minutes late hogayi,
“Tum late hogayi ho Yousra”, Haya nay Ustaniyoun walay andaz mein pucha,
“Han Woh mein..,”
Haya nay us kee bat kaat dee,
“Tum late hogayi ho iss liye tum club se out”,
“Lekin…..”
Haya nay usay hath kay isharay se dour janay kaa keh dia,
Yousra rotay huwe ghar chali gayi, Samir ko yeh bat bohat buree lagee,
Usnay Kaha “Haya Ye munasib tariqa nahi hai kisi se bat karne kay, dusrun kee dil azari karne se Allah bohat naraz hota hai or bohat sakht guna daita hai”,
“Agar Allah pak ham se naraz hogaya tau qayamat kay din hamain jahanum kee ag mein jalayega”, samir nay samjhatay huwe kaha,
“Tau iss ka matlab yeh nahi kay ham club kay rules ko follow na karain, agar mein Group kay rules break (taurnay) walun ko saza (punishment) ahi dungi tau Woh bar bar rules taurenge”, Haya nay jawabi daleel pesh kee,
Yeh keh kar Samir, sufyan or Ahmed, Haya kay sath khelne lagay,
Haya ne kaha “aj sab apni apni cycle lai ayen, ham aj cycling karenge”,
Meri Cycle kee chain tooti huwi hai, papa nay kaha hai Sunday ko banwa dainge”, Sufyan ne darte huwe kaha,
“Tum bhee isi waqt Club se out hotay ho kuon kay club kay har member kay pas har khilona waqt par tayar hona chahye”,
“Magar…”
“Mujhay kuch nahi sunna, jo Is club kay rules follow nahi karega Woh usi waqt out kar diya jayega”, Haya nay dhamki amaiz andaz mein kaha,
“Lekin tum nay tau kal kisi ko nahi bataya tha kay cycle se khelenge”, samir nay Haya se mun chira kar baat kee,
“Han lekin agar mein bata daitee tau kia faida, mein ye daikhna chahtee thee kay iss club kay member kitnay active hain”, Haya nay Samir ko ghusse se daikha,
“Lekin..” Haya nay Samir kee baat kaat dee,
Samir ko bohat gussa aya usnay kaha “Muje nahi rehna iss club mein”,
Sufyan nay bhee Samir kaa sath daite huwe kaha, “Mein bhee is Club mein mazeed nahi rehna chahta”,
Samir nay saray doston ko jama kia un sab kay kaan mein aik baat kahee, jis se saray doston kay chehrun par muskrahat agyi,
Aglay din saray dost 5 baje ground mein jama hoagaye or Ankh macholi khelne lagay,
Haya bhee un se dour apni cycle chalanay lagee,
Haya baar baar un sab kee taraf hasrat se daikhtee kuon kay Woh akeli thee or dusree taraf saray dost mil jul kar khel rahay thay or khoob maza kar rahay thay,
Kuch minton kay baad Haya un sab kay pas ayi or kehne lagay, “Mere club mein phir se kaun kaun ana chahega?”,
“Jo mere Club mein ayega, mein usay Baree walee chocolate gift karungi”,
Us kee baat kis bhee bachay ne jawab na dia or sab khel mein masroof rahay,
Haya aik ghnatay tau waheen kharee reh kar rotee rahee, lekin Woh saray dost hansi khushi khel mein magan thay,
Jab 6 baj gaye tau sab bachay janay kee tayari karne lagay,
Jab sab bachay janay lagay tau Samir nay un sab ko aik minute kay liye ruknay ka kaha or Khud Haya kay pas ja pohancha,
Us kay pechay pechay saray dost bhee Haya kay ird gird jama hoagye,

Children Club – Urdu Kahani for Child Children (Story) 3
“Kuon ro rahee ho Haya? Samir nay pyar se pucha,
“Kuon kay koi bhee mere club mein nahi chahta, sab dost tumharay club mein agaye hain”, Haya nay ansu saf karte huwe kaha,
“Hamara tau koi club nahi, ham tau har dafa kee tarah mil jul kar khel rahay thay”,
“Kia mein bhee kal se aap laugon kay sath khel sakti hon?”,
“Han zarur tum khel sakti hoo”, saray bachun nay aik sath jawab dia,
Samir ne Sufyan ko Ishara kia tau usnay kehne shuru kia
“Lekin na tau hamara koi club hoga naa hee koi rules, jis bachay ko jitney bajay ana hoga or jo game khelne hoga usay us kee puree azadi hogee”,
Phir Sufyan ne Yousra ko ishara kia tau usnay baat shuru kee,
“Na tau koi kisi ko nikal sakta hai na hee dant sakta hai, yeh hamara khelne ka waqt hota hai, agar ham iss mein itne sakht rules bana dainge tau enjoy kese karenge,
Or phir Dusrun kaa dil dukhanay se gunah alag milge,
Haya nay doston kee ye batain sun kar sab se muafi mange or tauba kee kay ayende kisi kaa bhe dil na dukhayegi.
Aik or Short Stories in Urdu With Moral parhnay kay liye Yahan Click karain.
——————————- THE END ——————————
This Urdu Kahani for Child / Children in urdu is full of moral and lessons. This Urdu Story 2017 is worth reading like our other Urdu Stories 2017.
This is pure Islamic moral Stories in urdu for children as it reflects the basic etiquettes to be adopted while playing with friends and other kids.
Urdu Moral stories are useful resources to learn and grasp basic ethics of life because Islamic moral stories in urdu are rarely available on an Internet.
One can consider this Urdu.Kahani as Islamic stories for kids in urdu because it teaches About the teachings of Allah.
So how was our this Urdu Kahani for Child / Children? Tell us in the comment box below.