Dusra Zaviya (Second Angle)
This Desi Urdu Kahani is Masterpiece of UrduStory.pk
Chand seconds mein hee usnay Ghar kee chabiyan hamaray hawaly kar deen or taizi say sehan kay bahir nikal gaya.
Islamabad se hamari shifiting ka aaj 5wan rauz tha or hamarai tawaqu kay bar aks hamain in 5 dinon me hee Karachi kay aik posh ilaqe me kiraye ka ghar mil chuka tha.
Ham isay apni khush nasibee keh lain ya mehez aik aittefaq kay itne baray or pur hujoom sheher me hamain ghar baasani mil chukka thaa.
Ghar kafi kushada or saaf suthra thaa. Chaar baray baray kamrun kay sath aik taweel ul arz sehan apni missal aap thaa.
Ghar ka kiraya bheee hamari tawaqu se kafi kam tha or aik dour ki rishtedari nikal anay ki waja se ham brokers kay bhari commission se bhee apnay ap ko bachany ki koshish me kamyab ho chukay thay.
Zindagi ka paheyya kuch dinon mein shuru ho chuka tha.
(Shariq) Mere khawand jo kay paishe kay hisab se aik Neuron Surgeon hain unhon ne apnay transfer order kay mutabiq Civil Hospital me apnay farayez anjam daina shuru kar diye.
(Annie) Bari beti Jo kay Masters se faraghat kay baad Kitabi keerun ki tarah kitabain chaata karti thee achaa mauqa milne ki waja se aik college me Teacher lag gayi.
Ab bachi mein or (Faizan) hamaray shehzaday jo kay apnay apko kabhi Atif aslam smjhte hain tau kabhi Sonu Nigam, parhai kay baad apnay Piano or guitar se har waqt hamaray ghar ko aik concert hall banaye rakhte hain,
unhon ne bhi apnay ye farayez nibhanae ka purjosh or baqaida aghaz yaum e doyem se bakhubi kar dia thaa.
Bachi mein jo kehne ko tau aik house wife thee lekin dunya bhar kay falahi kamun ko nibhana mere liye goya kay farayez e awwal me ata tha.
Ksi ki shadi se lai kar kisi ki naukri lagane tak tamam shobaun mein mene be intiha khidmat sar anjam dee hain.
Ham laugon kay ab is naye aramgah me 3 maah beet chukay thay, is doran mene kuch ghair mamoli or ghar fitri batain mehsoos keen,
jinhain shuru mein tau mein naye ghar me anay kee waja se apnaa weham samjhteen theen lekin ab in cheezon ko khamoshi se bardasht karna namumkin hota ja raha tha.
Aaj Rat phir se Faizan ka Piano wahee dhun baja raha thaa jo hamara yahan shift honay kay dusre rauz mene sunee thee.
Mein Hasbe mamool apni jagah se uth kar daikhne pohanchi tau na wahan Faizan maujood tha na hee wahan koi dhun baj rahee thee.
Mere bistar par pohanchte hee woh dhun phir usi tarah bajna shuru hogayi. Yeh rat bhee mene bechaini or pareshani kay alam me guzar di.
Mera Dar Gusse me us din badal gaya jab aik din ham ghar walay aik sath TV daikh rahay thay or achanak usi waqt hamara cable band hone k sath sath hamari ghar ki sari lights koi panch mintues kay liye hamare sath ankh macholoyan karti raheen,
meri hairat ki inteeha us waqt paar hoo gayi jab shariq nay electrician ko or Cable operator koo phone lagane kay liye apna cell phone uthaya or un kay mobile me aik bhee signal nahii araaha thaa.
Yahi mere or bachun kay mobiles kay sath bhee huwa. Muje youn mehsoos huwa jese hamara dunya se rabta munqata hochuka hai.
Taqriban 15 minutes kay bad hamari sari scheezain yakay bad degray khud se normal hona shuru hogayin.
Mene us rat 3 maheenon me honay walay tamam waqiyat baaree tafseel se shariq kay gosh gawar kiye.
Usay ye batain mehaz aik ittefaq se ziada kuch na lageen.
Shariq ne mujhay baray achay or misali andaz me har waqiye kay pichay aik aqli daleeel paish kee jo kay aik aam feham insan kay liye bhi qabool ho so mene un tamam waqiyat ko mehez aik ittefaq samajh kar jhutla dia.
Aik rat meri ankh us piano kay dhun ki waja se nahi balkay ghar walun kay shor ki waja se khuli or is dafa mene nahi balkay saray ghar walun ne Storeroom me ksi kee batain karne ki awaz kay sath sath store room se aik intihai taiz safaid roshni bhee nikalti daikhee.
Mujh samait saray ghar walay sehme huwe thay. Sab ne wazayif parh kar rat basar kee or aglay din masjid kay imam sahib ko ghar bulwa kar sara majra sunaya.
Masjid kay imam sahib ne parha hua pani hamain penay kay liye or diwarun par chirakne kay liye dia or ham se ijazat lee.
Kuch dinon tak hamaray ghar me phir se halaat momool kay mutabiq chalte rahay lekin is dafa jo hamaray sath huwa woh ksi bhi insan kay rongte kharay karne kay kabil hogaa.
Is dafa jab ham sab ghar walay sath beth kar TV daikh rahay thay tau phir se cable band hogayi lekin is dafa na sirf cable band huwi balkay saray channels par ajeeb se lakeeron kay sath sath kuch alfaz bhee likhe huwe arhay thay or sath me koi dil dehle daini walee awaz.
Sab se ziada dara daine walay manazir kuch chotay qad kay haiwlay thay jo dhuwan ki manind thay. Mene apnay mobile se us TV screen kee kafi dafa photos lene ki koshish kee lekin mere mobile kay camera akhir tak nahi chala.
Is tamam soret hal ko daikhne kay bad hamain dar lagne ki bajaye hansi arhaee thee. Ham sab ghar walay is tarah hans rahay thay jese kay koi comedy show daikh rahay hon or isi tarah ham hanste hanste usee kamray mein so gaye.
Jab aglay rauz suraj ki kirnun ne ankhun kay pardun par dastak dee tau mene ghari daikhi.
Dopher ka 1 bajne ko tha, mene aik aik kar kay ghar walun ko jagaya tau ham sab aik dusre kay mun hairat se tak rahay thay.
Ghar kay ham charun fard yahi soch rahay thay kay kal rat jo huwa mehez who aik khuwab tau nahi tha, lekin aisa hargiz nahi tha.
Ham ne taqriban who pura din us puri surat e hal ko samjhne me guzara lekin sab se dilchasp bat ye thee kee hamary dil me us rat kay waqiye ki waja se koi khauf nahi tha.
Woh rat hamari us ghar me akhri rat thee. Mere Khawand, Beti or betay ko woh ghar jinnat ka ghar lagta tha lekin meri Chhatti hiss kuch or kehti thee.
Mere mutabiq wahan jinnat nahi balke ksi dusre aalam ki makhlooq ka asar tha or mere pas us ki aik sab se bari waja ham sab ka hasna or woh pur sukoon neend hai.
Ham insanon ne Films or dramon ki waja se Aliens ko haamari hee tarah aik jismani wajud dai dia hai lekin in waqiat ko daikh kar mujhay is baat ka ghalib ghuman hai kay woh makhlooq ghair marrai bhee tau hosakti hai
kuon kay jis tarah us ne hamare tamam barqi aalaat ko qabu kia woh jinnat ya tau kar nahee sakte ya phir mere ilm mein aaj tak yeh baat nahi Guzree.
Horror Story has always been interesting to read for human beings. This Desi urdu kahani in Roman Fonts will take you in another world.
We are trying our best to generate best Urdu Stories which were used to be the part of Urdu books once. We will soon launch our Urdu Poetry Collection.
For now, we are focusing on Scary Stories, Ghost Stories and Fiction Stories. This Story is reflecting the true essence of Horror Story. For more Desi urdu kahani Keep connected!