Waderay Ka Beta – Islamic Moral story of Love
Aik sabaq or Nashihat Amoz Islamic Moral Story (Kahani), Youn samajh lain kay mein mun mein sonay ka chamach lai kar paida huwa thaa, Mere dada jaan sindhi waderay thay,
Iss lie un kay intiqal kay baad un ki saree zameenain, jayedad, gold, ghairiyan mere walid sahab kay paas ayin,
Hamara khandan sindh kaa sab se ameer khandan maana jaataa thaa,
Jab mene hosh sambhala tau hamari jayedad ki kul maliyat 3 arab thee,
Mein 15 saal kee umar mein Ghari, Bunglow, dubai, Singapore, turkey, Australia, Canada, baray baray mobile, branded kapray sab ka maza lai chuka thaa,
Kasrat e daulat or apnay walid kaa aik hee beta honay kay naatay mein sharab or zina ki ghandi lat mein 18 saal kee umar se hee dhut ho chuka thaa,
Mere ghar walun nay mujhay kabhi in cheezon se rauknay kee koshish naa kee kuon kay hamare khandan mein ye mardangi kee alaamat samjhee jatee theen,

Waderay Ka Beta – Islamic Moral story of Love 2
Kabhi tawaif kay sath tau kabhi kisi larkee ko apnee daulat se khareed kar us kay sath zina karta thaa.
Zindagi issi gandagi mein guzar rahee thee kay aik din jab subha hamaray ghar mein kaam karne walee maasi ne mujhay jagaya takay woh mere kamray kee safaye kar sakay,
Uska naam Saima thaa,
Usay daikh kar mein dhang reh gaya kay waqai mein woh koi maasi hai yaa koi shehzadi,
Uski khoobusrti ko bayan karne kay liye naa tau mere paas alfaaz hain na hee us ki khoobsurti alfaz se bayan hosaktee hai,
Us se ziada khoobsurat or haseen larkee mene apnee zindagi mein nahee daikhee thee,

Waderay Ka Beta – Islamic Moral story of Love 3
Mere dil mein shaitani waswasay ana shuru hogaye kay iss kay sath tau kal hee zina karna hai,
Mujhay pata thaa kay woh ghareeb bhee hai or majboor bhee, lihaza usay khareedna mushkil na hoga,
Khair us nay mujhay jagaya tau mein kamray se bahir janay kee bajaye ghusal khanay mein nahane chala gaya,
5 minutes baad mene jaan boojh kar Saima ko awaz dee kay mujhay tauliya dai, lekin 12 se 15 dafa awazain daine kay baad bhee us nay mujhay tauliya na dia,
Mujhay iss bat par shadeed ghussa aya or mujhay geelay jism par hee kapray pehen kar bahir ana para,
Mene bahir aakar usay bohat daanta or naukri se nikalne kee bhee dhamkee dee, lekin us kay kaan par joon tak naa rengi,
Woh khamoshi se sar jhukaye meri bat sunti rahee jese mein us se nahi deewarun se bat kar raha hon,
Mujh par hairat taree thee kay yeh kesi larkee hai naa tau usay meri daulat mutasir kar rahee hai, naa meri taqat or naa hee meri khubsurti,
Khair mujhay bhee maza anay laga kay iss dafa koi mushkil shikar hath mein aya hai,
Mein pura din bahane bahane se us kay paas jaa kar us se free honay ki kohsish karta raha lekin usnay mujhay lift tak na karwayi,
Sirf mere sath hee nahi hamare ghar kay dusray mardun or dusray naukron se bhee woh koi baat naa karti,
4 Din lagatar koshish karne kay bawajud bhee mein usay gunah par mayel na kar saka,
Mein chahta tau usay aghwa kar kay us kay sath zabardasti or ziyadti bhee kar saktaa thaa,
Lekin pata nahi kuon mere dil iss cheez ki ijazat nahi dai raha thaa,
Waqt guzarta gaya or daikhte hee daikhte, 4 maah guzar gaye lekin woh mere qaboo mein anay kaa naam hee nahi lai rahee thee,
In 4 maah mein mene laugon se us ki pasand na pasand ka pucha kay shayad mein apnay andar tabdeeli laon or woh usay pasand ajaye,
Bohat say laugon nay bataya kay Saima bohat deen daar or ba kirdar larkee hai,
Issi liye mene Sharab peena bhee chor di or zina karne kaa bhee dil nahi chahta thaa,
Phir kisi nay bataya kay usay mehnat or kaam karne walay laug pasand hain, tau mene aglay hee din abba kee zameenon kaa kaam sambhalna shuru kia,
Kaam sambhalne kay baad pata chala kay abbay kay munshi har mahinay lakhun kaa choona laga rahay hain,
Iss liye Kaam mein dil chaspi barhne lagee, or ahista ahista mene un munshiyoun ko farigh kar dia,
Ab kaam kee puri zimmedari mujh par thee, or pura pura din kam mein nikal jaata, aksar tau 2,2 din tak ghar lautne kaa mauqa nahi milta thaa,
Pura din dil bechain rehta thaa kay kab ghar jaon or saima kaa jee bhar kar deedar karun,
Lekin mein zabt karta raha,
Dil hee dil mein ye khayal ata kay ab jesa kay, Mein usay ghar mein kam nazar anay laga hon tau shayad us ka dil badal jaye,
Mujhay ab us se zina karne kaa nahii nikah karne kaa dil chahta thaa,
Mein apni sari daulat kay badle us ka pyar or muhabbat chahta thaa,
Mere dil chahta thaa kay zindagi mein sirf aik bar woh mujh se muskrat kar pyar kaa izhaar kar dai,
Lekin sab be sood o bay faida,
Uska dil shayad pathar kaa thaa,
Phir aik din ksi nay bataya kay saima 5 waqt kee namazain parhtee hai,
Mene usi waqt se namazain ada karna shuru kar deen,
Aik din mein abba kay kaam kaaj se farigh ho kar ghar lauta tau saray ghar walay kisi rishtedaar kee shadi mein janay kay liye ghariyoun mein beth rahay thay,
Mein bohat thaka huwa thaa iss liye mene ghar mein araam karne kaa faisla kia, ghar walay saman or tohfay uthanay kay liye baqi naukron or masiyoun ko saath lai kar jaa rahay thay,
Ammi nay bataya kay ghar mein saima or us ki walda meri khidmat kay liye maujood hain,
Mene saima par aik sarsari se nazar daali woh shayad koi kitab parh rahee thee or muskraa rahee thee,
Dil tau bohat chaha kay us muskrahat ko yunhee khara reh kar puree raat daikhta rahun lekin phir achanak ye kahayal aya kay kaheen saima ko ye baat buree lag gayi tau,
Saima kee walda jinhain sab ghar walay “Baree Bee jee” bulate thay unhon ne khana lagaya,
Khana kha kar mein apnay kamray mein chala gaya or TV daikhne laga,
Shaitaan mujh par puri tarah haavi thaa kay 8 mahinon kee pyas mein samina say zina kar kay bujha lon lekin qadam us ki taraf uthne se kaanp rahay thaa,
Kuch dair baad mere kamray par kisi nay dastak dee, mein samjha kay shayad baree bee jee hongee,
Lekin mere tawaqu kay bar aks mere samnay saima kharee thee,
Mein kuch bolta yaa pura mamla samjh pata saima ne kaha,
“Jo naikyan achaiyaan or badlao aap apnay ander meri muhabbat jeet nay kay liye lay aye hain Zohaib saab, Kaash ye sab aap nay apnay Allah ko raazi or us ki muhabbat kay husool lay liye kia hotaa tau shayad aap ab tak walee ban chukay hotay”
Us ne jese hee jumla pura kia mene aik zoor daar cheekh mari or shayad us kay baad mein behosh hogaya,
Jab aankh khuli tau pata chala kay us raat ghar mein naa tau saimaa maujood thee na hee beejee,
Woh donon bhee ghar kay chotay bachun ko sambhalne kay liye ghar walun kay hamrah shadi mein gaye thay,
Woh din mera us shandaar haweli mein akhri din thaa, Mene us din kay baad se apni saree zindagi raah e khuda mein basar karne ka irada kia,

Waderay Ka Beta – Islamic Moral story of Love 4
Jab mein tableeghi kaflun mein safar karne kay aik saal baad apnay ghar lautaa tau Saima kay walid nay khufya taur par aik mulaqat kee or darkhawast kee aik aap Saima kaa rishta lai kar hamaray ghar ayen,
Werna woh aap kee yaad mein roo roo kar mar jayegi,
Mujhay apnay kanun par yaqeen naa ayaa,
Allah kay fazlo karam se mera or Saima kaa nikah 3 haftun mein hee tay pagaya or aaj hamari shadi ko 22 saal guzar chukay hain.
Aik or Munfarid Islamic story parhne kay liye click here.
——————————-THE END ——————————
We either read Love Story or Islamic Story but this is some thing really different because it is Islamic Moral story of Love.
In this story Love between a boy and girl got an amazing twist at the end of this Islamic Story in hindi / Urdu.
We cannot say that this is the purely Islamic true story but one can learn many lessons from this thought provoking Islamic storytelling.
This is not Islamic creation story but this is the story which can bring many changes in an individual life and may guide him/her on right path.
We are also thinking to write Islamic stories in English as well but due to less man power we cannot write everything together.
Our team is also working on Islamic stories for children, so if you did not read those Islamic stories for kids, read them for sure.
We are very humble for your support and appreciation, Kindly share our this Islamic Moral Story as much as possible.